What are you here for?

Showing posts with label Poems. Show all posts
Showing posts with label Poems. Show all posts

Friday, May 29, 2020

Meri Pyari Ekaa

वो आती सुहाने खयालों की तरह
जवाबों में लिपटे सवालों की तरह
नजदीक जाने की वजह ढूंढ़ता हूं 
मै नजरें मिलाने की जिरह ढूंढ़ता हूं

खिलखिलाहट में उसकी रम सा गया था
हंसी देख उसकी, सब थम सा गया था
वो ज़ुल्फो में छुपती करिश्माई आंखें
करे वो शरारत बस नजरें झुका के 

पायल की छम छम से दिल जीत लेना 
वो बातें मनाने को मुंह भींच लेना 
घर जाते ही उसका मेरे पास आना
उसके लिपटते ही गम भूल जाना 

वो जीवन में आयी है बारिश की भांति
वो ही मेरे जीवन में खुशियों की सांची
वो ही मेरे जीवन की अनुपम सी रेखा 
हम सबको प्यारी हो तुम मेरी एका ।।।।

Friday, September 27, 2013

कहते हैं तारे गाते हैं- Harivansh Rai Bachchan

कहते हैं तारे गाते हैं

कहते हैं तारे गाते हैं!
सन्नाटा वसुधा पर छाया,
नभ में हमने कान लगाया,
फिर भी अगणित कंठों का यह राग नहीं हम सुन पाते हैं!
कहते हैं तारे गाते हैं!

स्वर्ग सुना करता यह गाना,
पृथिवी ने तो बस यह जाना,
अगणित ओस-कणों में तारों के नीरव आँसू आते हैं!
कहते हैं तारे गाते हैं!

ऊपर देव तले मानवगण,
नभ में दोनों गायन-रोदन,
राग सदा ऊपर को उठता, आँसू नीचे झर जाते हैं।
कहते हैं तारे गाते हैं!

Saturday, March 27, 2010

My compositions in PAF Maay maati(songs, street play and poems.)

1.)Aaj mere dil me phir jeene ki ek khwahish jaagi hai..

Band aankhon se mai apna gaanv dekhta hu
Kheto me daudate mitti me sane, paanv dekhta hu
Gaanv ke tile par geet madham gar aha koi,
Kheto me kaka ke, ganne chura raha koi…

Aankh jab kholu wahaa kuch bhi na pata hu,
Aankhein hai nam jaati, mai darr se kaanp jata hu,
Durr tak na gaanv hai, na khet na ganne,
Aur nahi mil rahe wo geet ke panne…
Anant tak hai jalti ret me dabi hui dhara,
Rachnakar ne prachandata ka naach hai kara…


2.) OHH RE MAAJHI!!!!
O re majhi!!!!
Bahate paani me humko tu le chal nahi hai kinare…
Bahana tanha mere in naseebo ka ek silsila re…
Ore majhi!!!!
In Kinaro ne phir dhakela hai
In lahro me…. Bas.. bahe ja raha hu…
Koi sunta na in lahro se
Mai baatein hajaro .. bas … kiye jar aha hu….

O re majhi!!!
Apni koi jameen nahi hai, nahi asamaa re…
Laharein ghar hai meri, hain yahi hai sara jahaan re…
O re majhi!!!
In kinaro pe jab mai jata hu
chot khata hu, phir yahi laut jata hu..
in pankho par jab mai udata hu
phir se girta hu, phir yahi laut jata hu..
o re majhi!!!!
Mujhko kehate hain apne paraya mai jau kaha pe..
Mujhko kehate wahi laut jao ho aye jahaan se…
O re majhi!!!!
Desh mera hai, phir kyu lagta ye
Ab paraya hai.. ye kya ho gaya hai
Baant lo jo tum ek gharaunda hai
Ye ghar apna hai, ye kya ho gaya hai,….

3.)Street Play Final lines
Baje bigul prachand,
Aao sab sang sang,
Harne ko pran Aaj,
hum sab hain jaage….
Veero ki veerata ke,
Bajta hai ye mridang,
Lelo yo shastra ko tum,
Paapi praan tyaage….
megho ki tivrata se,
ban ke dabang aaj,
hum sab ki aaj suno,
sannata sab tyaage…
Jab tak tum maun ho to,
Tab tak jalenge, aaj
Utha jao tum bhi yahaan,
hum bhi jee paayein

4.)Aaj rakt se sani is jameen ko dekh kar
Asmaan bhi laal aise ho gaya
Dard me dabe hue har kadam ki aat par
Ro pada wo dhairya apna kho gaya
Unke ant ke liye wo baandh ke kafan
Chal pada darr ko apne karke yo dafan
Aaj dhundhne chala wo tum me parshuram ko
Aao khoj uski ab samapt ho
Aag me kud kar
Kar de khud ko hi bali
Shanti charo or jisase vyaapt ho

Monday, June 29, 2009

College ki baatein....

wo raaton ki masti me
neendon ko khona....
masti se thak kar
wo dinbhar ka sona....

wo pagal si baatein ,
aur wo thahthahake.....
wo daaru ke chadhne par
sabke tamashe,
wo chup chap campus me,
daaru ka ana...
wo checking ke darr se
fatafat chupana....
naraj dosa se,
khud ko bachana....
books ke bahane ,
fine ka paisa mangana....

humein yaad ayenge,
din ye suhane....
nahi chal sakenge jab
koi bahane......

wo paper naye the,
wo no. purane ,
jab aa jaate the roj,
proffu darane....
wo proxy jo pakdi,
kisi proff ne thi...
wo pairon me padkar,
ro dhoke bachna
wo kue se bach kar tha ,
khaai me girna ....
wo FR se bachke bhi ,
XX me fansna....


humein yaad ayenge,
din ye suhane....
nahi chal sakenge jab
koi bahane......

wo end sem ke baad,
wing me dhamake...
frustration nikale the ,
copy jalake ....
wo trekking pe jana ,
wo dhaabe pe khana ....
wo chai ki chuski pe,
sutte jalana ......
wo paise bachane ko,
vada pav khana.....
dosto ki party me
pizza mangana....

humein yaad ayenge,
din ye suhane....
nahi chal sakenge jab
koi bahane......

besoore guitaron par ,
sabka chillana....
bahar nikal khud ko
descent batana...
wo lan game nashile,
wo cs , aoe;
lecture me sote,
na sunta tha koi...
wo din me khane ko ,
tha gaali sunana....
wo raaton ko rokar wahi
khaane jana.....
wo lab me jaakar ,
kursi taan sona....
wo partner ka apne,
pareshaan hona....


humein yaad ayenge,
din ye suhane....
nahi chal sakenge jab
koi bahane......