Panne
Fati hui si copy ke purane panno par,
apne haseen palo ko mai kaid karta tha,
kabhi likh kar, kabhi chitra bana,
mai rekhao se khela karta tha…
Kabhi bbhai se lad, maa se ruth kar,
Angan ke amrood ke ped ke peeche chip jata tha,
Kabhi papa ki daant se bachkar,
Padosi kaka ki rasoi me ghus jata tha…
Balla utha maa ko ansoona kar,
maidon me bhaag jata tha…
raat ko pooja me der se aane par,
papa ke gusse se bhai bachata tha,
mai roos kar chandani me,
phir panno me kho jata tha….
Kuch bada hua to,
andhi daur me jut gaya,
Pata nahi kab, panne fat gaye,
kab kalam kahi choot gaya,
mai daurata raha,
par kabhi kahi pahucha nahi,
mai jeetata gaya,
khushi panno me raha gayi wahin….
Aaj bhi sochta hu ki,
Panno me jindagi thi ya jindagi ke panne,
Aaj bhi kahi yaado me dhundhta hu,
Dhundhlati aankho se wo panne…..
No comments:
Post a Comment