What are you here for?

Wednesday, March 31, 2010

Hai ho halla bhai ho halla….

Apno se hoti khit-pit ka,
Galiyo me hoti kit kit ka,
Paani ki line me aunti ka,
Bidi dukan me uncle ka..
Ho halla bhai ho halla….
Noton ki aad me santri ka
Voton ki aat me mantri ka,
Kheechtan me aayal(oil) ki
Yo jhagda hota country ka,
Ho halla bhai ho halla…..
Prof. ke badhte khatro ka,
Bacho ke badhte nakhro ka,
Hai last seat par kabje ki,
Lad- marne ke is jajbe ka
Hai ho halla bhai ho halla….
Hai pati ka apni biwi se,
Saas bahu ka apne tv pe,
Bhai ka uski lugai se,
Hai sasur ka apne jamai se
Hai ho halla bhai ho halla….
Is ho halle me apna insti aur PAF kaise peeche raha sakte hain…
Hai P.O.R ki fight me,
Achi ladki ki sight pe,
Mess ki gandi diet pe,
Hai valfi ki har night pe ..
Hai ho halla bhai ho halla…
Dosa ke har mail me,
Evento ki is rail me,
Gossip ki chatpat bhel me,
Awards ke is khel me,
Hai ho halla bhai ho halla….
Hai PAF ke hare k review pe,
Hai prod-choreo ke preview pe,
Har paf ki hoti anti pe,
Hai end me hoti senti pe,
Hai ho halla bhai ho halla…..

Saturday, March 27, 2010

My compositions in PAF Maay maati(songs, street play and poems.)

1.)Aaj mere dil me phir jeene ki ek khwahish jaagi hai..

Band aankhon se mai apna gaanv dekhta hu
Kheto me daudate mitti me sane, paanv dekhta hu
Gaanv ke tile par geet madham gar aha koi,
Kheto me kaka ke, ganne chura raha koi…

Aankh jab kholu wahaa kuch bhi na pata hu,
Aankhein hai nam jaati, mai darr se kaanp jata hu,
Durr tak na gaanv hai, na khet na ganne,
Aur nahi mil rahe wo geet ke panne…
Anant tak hai jalti ret me dabi hui dhara,
Rachnakar ne prachandata ka naach hai kara…


2.) OHH RE MAAJHI!!!!
O re majhi!!!!
Bahate paani me humko tu le chal nahi hai kinare…
Bahana tanha mere in naseebo ka ek silsila re…
Ore majhi!!!!
In Kinaro ne phir dhakela hai
In lahro me…. Bas.. bahe ja raha hu…
Koi sunta na in lahro se
Mai baatein hajaro .. bas … kiye jar aha hu….

O re majhi!!!
Apni koi jameen nahi hai, nahi asamaa re…
Laharein ghar hai meri, hain yahi hai sara jahaan re…
O re majhi!!!
In kinaro pe jab mai jata hu
chot khata hu, phir yahi laut jata hu..
in pankho par jab mai udata hu
phir se girta hu, phir yahi laut jata hu..
o re majhi!!!!
Mujhko kehate hain apne paraya mai jau kaha pe..
Mujhko kehate wahi laut jao ho aye jahaan se…
O re majhi!!!!
Desh mera hai, phir kyu lagta ye
Ab paraya hai.. ye kya ho gaya hai
Baant lo jo tum ek gharaunda hai
Ye ghar apna hai, ye kya ho gaya hai,….

3.)Street Play Final lines
Baje bigul prachand,
Aao sab sang sang,
Harne ko pran Aaj,
hum sab hain jaage….
Veero ki veerata ke,
Bajta hai ye mridang,
Lelo yo shastra ko tum,
Paapi praan tyaage….
megho ki tivrata se,
ban ke dabang aaj,
hum sab ki aaj suno,
sannata sab tyaage…
Jab tak tum maun ho to,
Tab tak jalenge, aaj
Utha jao tum bhi yahaan,
hum bhi jee paayein

4.)Aaj rakt se sani is jameen ko dekh kar
Asmaan bhi laal aise ho gaya
Dard me dabe hue har kadam ki aat par
Ro pada wo dhairya apna kho gaya
Unke ant ke liye wo baandh ke kafan
Chal pada darr ko apne karke yo dafan
Aaj dhundhne chala wo tum me parshuram ko
Aao khoj uski ab samapt ho
Aag me kud kar
Kar de khud ko hi bali
Shanti charo or jisase vyaapt ho