What are you here for?

Sunday, May 9, 2010

Ki maa tu meri dost hai…

Gam me. har khushi me…. Sang apne tujhe pata tha
Darr ke ya jhagad ke tere anchal me chup jata tha
Pyara na hai tujhsa… tujhsa bhola nahi hai koi
Kaise mai batau kaisi tujhse ajab dosti…
Ki maa tu meri dost hai…
………………
Meri halki chotein teri ankhon ka aansu bani,
Badal tera anchal, chahe jitani ho dhoop ghani,
Tere dil me mere jeetane ki alag khwahishein,
Mujh par ho sada hi tere pyaar ki ye baarishein…
Ki ma tu meri dost hai…

Tuesday, April 27, 2010

Bani mai piya bawari

Piya bawari ……
Chulhe si tapati,
hu dil me sulagti,
Nahi mil rahe mere sajan..
Bani mai piya bawari…
Naino me basti,
Aansoo me simati,
Nami ko na samajhe re sajan
Bani mai piya bawari
1. Saundha sa har pal jivan me mere,
Unki hansi me base ja raha tha…
Unse lipat ke ghabrate mann ko,
Har ek ghadi me karar aa raha tha..
Unke Kadmo ki ahat se mere,
Dil ko brbas hi khumar araha tha
Unme yo chhip kar, sanso me ghul kar,
Gam ki ghadi me bh karar aa raha tha…
1. Kaun ghadi me kirano se bach kar,
Andhere me tum kahin kho gaye..
Naraj ho kya, kyu sapne yu rach kar,
adhoori jo kavita ki pankti se hum ho gaye..
kyu khamosh tum ho mera dil bulaye,
hai hum raah takte hain khud ko bichhaye..
naye aashiyaan se humne sapne sajaye..
jo jana hi tha to kyu ye sapne dikhaye

Kyu tu pareshan hai...

Kyu tu pareshan hai?-2
Naino me bas ja mere,
Chup ja tu mujhme kahin,
Rango me ram ja mere,
Bas ja tu ab to wahin….

1. Teri hansi ko tarasi,
Meri har-ek pal ki dua,
Boondo me rab ki barsi,
Aansu me lipati sada…
Tere jo dil me ho,
Khul ke tu bata de mujhko,
Maun na aise ho,
Khamoshi sataye mujhko…

2. Yaad hai mujhko,
Kabhi mai bhi aisi royi thi..
Simat ke tujhse,
Maine jindagi sanjoyi thi…
aaj tu chup sa hai,
chod kaise du tujhe,
saath ki jarurat hai,
aa chupa lu mai tujhe….

Kyu tu pareshaan hai....

Wednesday, April 7, 2010

kahin dhoop kahin chaav...

Hey ram tri duniya me,
Ye kaisi teri maya hai.....
Prabhu aisa kyu kiya tune kahin dhoop
kahin chaya hai....

peele patte jo jalti dhoop me
boondon ko tarse jaa rahe hain....
aur kahin behate hue gharon par
badal bekhauf barse jaa rahe hain....

jalti dhoop jo nanhe
nange pair jalaye jaa rahi hai
wahi pyari gudiya koi ,
thand me tadape ja rahi hai.... .1.

Hey ram tri duniya me,
Ye kaisi teri maya hai.....
Prabhu aisa kyu kiya tune kahin dhoop
kahin chaya hai....

kahin roti ki kilaat me
tadape hai koi
kahin jyada khakar
roye hai koi..

Koi mota hokar
Pareshan rehata
Koi dubli kaya
Hai phhonko me behata .2.

Hey ram tri duniya me,
Ye kaisi teri maya hai.....
Prabhu aisa kyu kiya tune kahin dhoop
kahin chaya hai....

Apne ghar ko yaad karta hu.....

वही नीम का पेड़, वही मंजर !
वही मद्धम हवा , दूर एक जमीन बंजर !

उस पेड़ से झांकता , इठलाता , चमकता चाँद !
डालियों की ओट से निहारती, शर्माती दुल्हन सी चांदनी !

तन्हाईयों के घावों पर, खुशनुमा यादों के वार करती धीमी हवा की सुगंध !
अपनों  के बीच बिताये उन  लम्हों की तरह आती जाती,
लहरों के किनारे बैठा मै , अपने घर को याद करता हूँ !

रोशनी की चकाचौंध में,
बनावटी खुशनुमा माहौल की सौंध में ,
लाखों की  भीड़ में तनहा, बड़ी इमारतों के जंगल के बीच,
तीक्ष्ण रोशनी से भरी घूरती आँखों से सहमा मैं,
अपने घर को याद करता हूँ !

Wednesday, March 31, 2010

Hai ho halla bhai ho halla….

Apno se hoti khit-pit ka,
Galiyo me hoti kit kit ka,
Paani ki line me aunti ka,
Bidi dukan me uncle ka..
Ho halla bhai ho halla….
Noton ki aad me santri ka
Voton ki aat me mantri ka,
Kheechtan me aayal(oil) ki
Yo jhagda hota country ka,
Ho halla bhai ho halla…..
Prof. ke badhte khatro ka,
Bacho ke badhte nakhro ka,
Hai last seat par kabje ki,
Lad- marne ke is jajbe ka
Hai ho halla bhai ho halla….
Hai pati ka apni biwi se,
Saas bahu ka apne tv pe,
Bhai ka uski lugai se,
Hai sasur ka apne jamai se
Hai ho halla bhai ho halla….
Is ho halle me apna insti aur PAF kaise peeche raha sakte hain…
Hai P.O.R ki fight me,
Achi ladki ki sight pe,
Mess ki gandi diet pe,
Hai valfi ki har night pe ..
Hai ho halla bhai ho halla…
Dosa ke har mail me,
Evento ki is rail me,
Gossip ki chatpat bhel me,
Awards ke is khel me,
Hai ho halla bhai ho halla….
Hai PAF ke hare k review pe,
Hai prod-choreo ke preview pe,
Har paf ki hoti anti pe,
Hai end me hoti senti pe,
Hai ho halla bhai ho halla…..

Saturday, March 27, 2010

My compositions in PAF Maay maati(songs, street play and poems.)

1.)Aaj mere dil me phir jeene ki ek khwahish jaagi hai..

Band aankhon se mai apna gaanv dekhta hu
Kheto me daudate mitti me sane, paanv dekhta hu
Gaanv ke tile par geet madham gar aha koi,
Kheto me kaka ke, ganne chura raha koi…

Aankh jab kholu wahaa kuch bhi na pata hu,
Aankhein hai nam jaati, mai darr se kaanp jata hu,
Durr tak na gaanv hai, na khet na ganne,
Aur nahi mil rahe wo geet ke panne…
Anant tak hai jalti ret me dabi hui dhara,
Rachnakar ne prachandata ka naach hai kara…


2.) OHH RE MAAJHI!!!!
O re majhi!!!!
Bahate paani me humko tu le chal nahi hai kinare…
Bahana tanha mere in naseebo ka ek silsila re…
Ore majhi!!!!
In Kinaro ne phir dhakela hai
In lahro me…. Bas.. bahe ja raha hu…
Koi sunta na in lahro se
Mai baatein hajaro .. bas … kiye jar aha hu….

O re majhi!!!
Apni koi jameen nahi hai, nahi asamaa re…
Laharein ghar hai meri, hain yahi hai sara jahaan re…
O re majhi!!!
In kinaro pe jab mai jata hu
chot khata hu, phir yahi laut jata hu..
in pankho par jab mai udata hu
phir se girta hu, phir yahi laut jata hu..
o re majhi!!!!
Mujhko kehate hain apne paraya mai jau kaha pe..
Mujhko kehate wahi laut jao ho aye jahaan se…
O re majhi!!!!
Desh mera hai, phir kyu lagta ye
Ab paraya hai.. ye kya ho gaya hai
Baant lo jo tum ek gharaunda hai
Ye ghar apna hai, ye kya ho gaya hai,….

3.)Street Play Final lines
Baje bigul prachand,
Aao sab sang sang,
Harne ko pran Aaj,
hum sab hain jaage….
Veero ki veerata ke,
Bajta hai ye mridang,
Lelo yo shastra ko tum,
Paapi praan tyaage….
megho ki tivrata se,
ban ke dabang aaj,
hum sab ki aaj suno,
sannata sab tyaage…
Jab tak tum maun ho to,
Tab tak jalenge, aaj
Utha jao tum bhi yahaan,
hum bhi jee paayein

4.)Aaj rakt se sani is jameen ko dekh kar
Asmaan bhi laal aise ho gaya
Dard me dabe hue har kadam ki aat par
Ro pada wo dhairya apna kho gaya
Unke ant ke liye wo baandh ke kafan
Chal pada darr ko apne karke yo dafan
Aaj dhundhne chala wo tum me parshuram ko
Aao khoj uski ab samapt ho
Aag me kud kar
Kar de khud ko hi bali
Shanti charo or jisase vyaapt ho