What are you here for?

Monday, January 31, 2011

panne...

Panne
Fati hui si copy ke purane panno par,
apne haseen palo ko mai kaid karta tha,
kabhi likh kar, kabhi chitra bana,
mai rekhao se khela karta tha…
Kabhi bbhai se lad, maa se ruth kar,
Angan ke amrood ke ped ke peeche chip jata tha,
Kabhi papa ki daant se bachkar,
Padosi kaka ki rasoi me ghus jata tha…
Balla utha maa ko ansoona kar,
maidon me bhaag jata tha…
raat ko pooja me der se aane par,
papa ke gusse se bhai bachata tha,
mai roos kar chandani me,
phir panno me kho jata tha….

Kuch bada hua to,
andhi daur me jut gaya,
Pata nahi kab, panne fat gaye,
kab kalam kahi choot gaya,
mai daurata raha,
par kabhi kahi pahucha nahi,
mai jeetata gaya,
khushi panno me raha gayi wahin….

Aaj bhi sochta hu ki,
Panno me jindagi thi ya jindagi ke panne,
Aaj bhi kahi yaado me dhundhta hu,
Dhundhlati aankho se wo panne…..

Kyu tu pareshaan hai?

Kyu tu pareshan hai?-2
Naino me bas ja mere,
Chup ja tu mujhme kahin,
Rango me ram ja mere,
Bas ja tu ab to wahin….

1. Teri hansi ko tarasi,
Meri har-ek pal ki dua,
Boondo me rab ki barsi,
Aansu me lipati sada…
Tere jo dil me ho,
Khul ke tu bata de mujhko,
Maun na aise ho,
Teri khamoshi sataye mujhko…

2. Yaad hai mujhko,
Kabhi mai bhi aisi royi thi..
Simat ke tujhse,
Maine jindagi sanjoyi thi…
aaj tu chup sa hai,
chod kaise du tujhe,
saath ki jarurat hai,
aa chupa lu mai tujhe….

Thursday, January 27, 2011

Shahar Shahar ki kahani....

Mumbai-
Q- bhai sahab ATM kahaan hai?
A-(In marathi) saala marathi nahi bola... maaro...
Delhi
Q- bhai sahab ATM kahaan hai?
A- 100 rs de to bataunga...
Kolkata
Q- bhai sahab ATM kahaan hai?
A- ATM to udhar hai par paisa nahi hai... Bank ki hadtaal hai...
Patna
Q- bhai sahab ATM kahaan hai?
A- Kal tak to yahaan tha...aaj shayad netaji ke bangle me le gaye hain....
South
Q- bhai sahab ATM kahaan hai?
A- This is land of rajnikant.. we need no ATM...yanna raskala....